Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Banane ko to jahan bhi bana leta hu,Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu,Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai,Ek aur mukaddar is diye sa jala hai,Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai,Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Tumne chaha hi nahin,warna halaat badal sakte the, Mere anshoo teri ankhon se nikal sakte the, Tum to thahre hi rahe jheel ke paani ki tarah, Dariya bante to door nikal sakte the.
Mere Khwabo Me Aana Unka Kasur Tha,Unse Dil Lagana Hamara Kasur Tha,Woh Aaye The Zindagi Me Pal Do Pal Ke Liye,Par Unko Zindagi Samajh Lena Hamara Kasur Tha