Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage, Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage, Koi ruki si dhadkan se puche,kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Girti hui barish ki bundo ko apne hato me samet lo, Jitna pani tum samet paye utna yaad tum karte ho, jitna pani tum samet nahi paye, utna yaad ham karte hai...
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Saath rehate rehate yuhi waqt gujar jayega.. Dur hone ke bad kaun kise yaad aayega.. Jeelo ye pal jab hum saath hai, kal ka kya pata waqt kahan le jayega...
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna