uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla kehte hai ki ishq mein toh lut jana chahiye par jab yaar hi na mile toh kispe mita jaye
Rona bhi chaho toh woh rone nahi deti,Woh Shakhs toh palke bhi bhigone nahi deti.Aati hai khyaalon mein kaun ye aksar?Jo mujhe kisi aur ka hone nahi deti.
Tere khayal se jee churaon kaise, ek aag dil me lagi hai bujhaon kaise, meri har saans teri yaad se wabasta hai, phir to hi bata tujhe bhool jaon kaisy
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,