Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Dil Ko Dukhane Me Waqt Hi Kitna Lagta Hai. Aansu Bahane Me Waqt Hi Kitna Lagta Hai.Aap Ko Hamari Yaad Hi Nahi Aati Warna Ek sms Karne Me Waqt Hi Kitna lagta ha
Dil k kehne pe dil ki duniya chhod aaye,Sabhi rishte nato se muh mod aaye.Humse na mangna hisab wafai ka-e-yaro,Unki chahat me n jane kitno k dil tod aye.
Teri har bat meri takdeer ban jati hai Teri yaad meri janjeer ban jati hai Jee chahata hai toot kar tujse payar karu magar khud ki hi sharm deewar ban jati hai
Tanhayi ki ye kuch aisi ajab raat hai,Tujhse judi huyi har yaad mere saath hai,Kis kadar ki thi mohabat humne tumse,Soch kar huyi aaj ashqon se mulaqat hai.