Yeh din yeh raat yeh lamhay achay say lagtay hain.. Tumhain sochoon to saaray silsilay achay say lagtay hain… Bohat door tak chalna or phir bhi waheen rehna.. Humain tum say tum hi tak k Da-ayray achay say lagtay hain..
Juban khamosh aankho me nami hogi, Bus yahi Dasta-E-zindgi hogi, Jakhm to bahut bhar jayenge, Par kaise bharega wo dil ka kona, Jisme teri kami hogi………..
Dil ki kitab ka panna chura le gaya koi...., Dhadkan dil ki chura legaya koi..., Hum to raja the dil k..., Ek nazrana de k gulam hame bana gaya koi...!
Chehre ki har muskan ban jata hai koi, dil ki har dhadkan ban jata hai koi, phir kaise jiye zindagi uske bin, jab zindagi jine ki wajah ban jata hai koi..