Ek tum hi ho jo hansati ho rulati ho, Dur jane ki baat kar fir pass bulati ho, Kitna nadan ho jata hun tumse milkar Meri aankhon mei jhank phool tum khilati ho
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho
Rango ki fuhar se tarbatar huye kuch aise wo..Andaaze khafa se chaldiye..Uff Andaaz apna dekhte hai aaine me wo..Aur ye bhi dekhte hai..Koi dekhta na ho