Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete Magar ye log nayi dastan bana lete Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum Zamin khud ko tujhe aasman bana lete
Ab to zamane ke rasmo rivaaj bhi badal gaye hum jinhen chahte the un ke mizaaj bi badal gaye jate jate wo hm se kehny lage badal jao tum bhi dekho hum bhi badal gaye
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker.
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi