Aaj ki raat bahut khubsurat nazar ati ho, dur ho itni magar karib nazar ati ho, dekh kar khud ko tum khud se sharmaa jao, aisi tum chand ki chandni nazar ati ho
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai, Meray paon main zanjeer nazar ayai, Gir paray aason aakhon say or, her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha...
Dil ki dhadkano ki awaz suni h maine,apni ankho se koi bat kahi h maine, bas ek didar k liye khud ko sambhle baithe h, jane y ishq me koun si rah chuni h maine.
Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,Samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi,Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Mohabat ka mujhse hisab mangti he, Apni Chahat ka sailab mangti he, bahot Ajib ladki he vo,sab kuch jane k bawjud,Apni baton ka muj beksur se jawab mangti h