aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.
shayri kya hai ek baat jo kehte kehte chupa li jaye ek yaad jo sine se laga li jaye jante ho shayri kuch u hoti hai ki ek aah chand lafjo me chupa li jaye
kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheen ke humko koi bhee khushi nahin lekin ye zindagi to koi zindagi nahin kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye paaya tumhe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye.....