Dosti ki ek andekhi surat ho aap, Kisi ki Jindagi ki jarurat ho aap, Khubsurat to ful bhi bahut hai, lekin kisi ke liye, ful se bhi khubsurat ho aap...
Unka waada hai ki woo laut ayenge, issi umeed par hum jiye jayenge, yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai, kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi, Is umar key sehra say teri yaad ka baadal, Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Na khawabo mai dekha, na nazaro mai dekha, Hazaro mai humne ek tumhi ko dekha Gum dene wale to hal pal hai yaha, Har pal khushi dene walo mai ek aapko hi dekha.
EK DIN AAP HUMI KO CHAHENGE DEKH LENA HUM KHUDA SE AAPKO MAANG LAAYENGE DEKH LENA SHAYED AAPKO HUMAARI MOHABBAT KA EHSAAS NAHI AAPSE HI ISKA EHSAAS KARVAYNGE DEKH LENA
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
JINDA HAI SAHAJAHAN KI CHAHAT AB TAK, GAWAH HAI MUMTAZ KI ULFAT AB TAK, EK BAAR DEKHO US TAAJMAHAL KO, AE DOST PATTHARO SE TAPAKTI HAI MOHABBAT AB TAK.