Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye
Milna itefaq tha bichadna nasib tha,wo itne dur ho gaye jitne karib the,hum unko dekhne ko taraste hi reh gaye,jis shakhs ki hatheli pe hamara nasib tha..
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.