Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin
Hum to tujhe bhool chuke the lekin, na jaane kyu log teri yaad dilane aaye, yeh kya kam hai ke teri gali mein tere deedaar ki khaatir, hum tujhe kisi aur ke milne ke bahane aaye...
Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay, Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay
Meri aankhon mein joh tasveer basi hai, Us tasveer mein hi meri taqdeer basi hai, Kis tarah judaa kar dun usko apni aankhon se, Mohabbat ki duniya mujhe ussi mein hi to mila hai.......