Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.
Zindagi tuj bin ulfat si lagti hai, Ek pal ki judai muddat si lagti hai. Pehele nahi socha tha, Ab sochne lage hai hum, Ki har lamhe mein teri zaroorat mahsus hone lagi hai.
Yaad hai teri aur zindagi mein gam hai Manzar hai judai ka aur aankhen bhi nam hain Tu aaye to dhadak jaaye, aa jaaye isme jaan Teri aarzoo hai, dil mein dhadkanen bhi kam hain
Koi Es Tarah Se Mere Sath Adawat Tu Karta Qaid Kar Leta Mujhe Aur Hakumat Tu Karta Maine Yeh Kab Kaha Tha K Wo Sab Ko Chor De Wo Apney Andaz Se Karta Par Mohabbat To Karta