Woh has k kya mile hum pyar samaj bethe, bekar hi ulfat ko izhar samaj bethe,lthi a6i to na thi kismat hamari jo khud ko unki Mohabbat ka haqdar samaj bethe.
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai kaano me gunjti sehnai si lagti hai aap karib hain to aapnapan hai, warna seene me saans bhi parai si lagti hai