Muskurana hi Khushi nahi hoti,umar bit jana hi jindagi nahi hoti,khud ko mitana padta hai mohabbat me,, sirf I..LOVE..YOU kehne se hi mohabbat nahi hoti.
Apna Bhi Dard Mujhko Mere Razdar De,Kuch Apni Zindagi Pe Mujhe Ikhtiyar De,Aisa Na Ho Ki Kal Tu Mera Saath Chhod De,Jitna Nibha Sake Mujhe Utna Hi Pyaar De..
Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi, Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi. Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main, Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai, Aap karib ho to apnapan hai, Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Tumse Bicharne Ka Gum Hum Seh Nahi Sakte Bhari Mehfil Mei Hum Kuch Keh Nahi Sakte Hamare Girte Anson Ko Pakar Kr To Dekho Wo B Kehte Hain Hum Ap K Bina Reh Nahin Sakte