Dekho phir raat aa gayi, Tanhaiyon mein waqt bitane ki baat aa gayi, Hum to yun hi baithe the Sitaron ki panah mein, Chaand ko dekha to aap ki yaad aa gayi.
Najron ko chhipa ke rakhna, kaatil hai teri nazar; Ek ko to maar diya tumne, karogi kitnon ko ghayal!! Ghayal karaana Ankhon ki adat nahi hoti hai Ghayal hone walon ki Neeyat kharab hoti hai
Us ko dil mein basa bhi na paaye, aur sahi tarah se bhula bhi na paaye, woh shaaks jo ban gaye the zindagi meri, hum uss ko haal-e-dil suna bhi na paaye.
Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai, Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai, Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein, Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai