Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka, Shayad nazar se woh baat ho jaye. Is umeed mein karte hain intezaar raat ka, ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye
Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.
Dil jo tutega to fariyaad karoge tum. Hum na rahe to hume yaad karoge tum. Aaj to kehte ho hamare pass waqt nahi, par ek din mere liya waqt barbad karoge tum…
Kashti k musafir ne samunder nahi dekha Ankho me raha dil me utar kar nhi dekha Pather samjhte the mere chahne wale Par mom tha mai kisine chu kar nahi dekha.
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho, jaise zindagi ko sanso ka sahara ho, Yaad karna hamein us pal mein, jab tum akele ho or koi na tumhara ho..