Ap ki Dillgi Me Apne Hosh kho BaitheKal tak khuda ke the aaj ap Ke ho baithe Suna To tha Pyar diwana kar deta h, Aaj khud pyar kar Ke,Hum Bhi hosh kho baithe.
Mere Khwabo Me Aana Unka Kasur Tha,Unse Dil Lagana Hamara Kasur Tha,Woh Aaye The Zindagi Me Pal Do Pal Ke Liye,Par Unko Zindagi Samajh Lena Hamara Kasur Tha
Ab to zamane ke rasmo rivaaj bhi badal gaye hum jinhen chahte the un ke mizaaj bi badal gaye jate jate wo hm se kehny lage badal jao tum bhi dekho hum bhi badal gaye
Fursat k kuch lamhe nikalkar,the kuch sapne sajaye mene,Bedardo ki is duniyase chunkar,the kuch rishte apnaye mene,Magar waqt ko raas na ayi wafa meri aur,Ho gaye Paraye wo mujse,the kabhi jo apne banaye mene.
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khud hi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai kaano me gunjti sehnai si lagti hai aap karib hain to aapnapan hai, warna seene me saans bhi parai si lagti hai
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab