Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.
Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye
Kis par dosh lagaye apni barbadi ka,pyar ki raho me hum khud bhi gunehgar hai,jo lamhe bitaye the sath milkar kabhi,aaj mere liye vahi lamhe yaadgar hai.
Juda rehkar bhi woh satane se baaz nahi ate, Dur rehkar bhi wo dil jalane se baaz nahi ate, Hum to bhulna chate he unko, Magar wo khwabo me ane se baaz nai aate
Na koi shikwa hai aur na shiqayat hai Chhod unhe na koi doosri chhahat hai Bas wohi meri safar hai, wohi meri manzil haiWohi khuda hai, wohi meri ibadat hai
Kaash ek kadam hum bhi unke saath chal paate Kaash unke khwabo mai hum bhi bas jaate Jo chale gaye hamare sapne todke Kaash unke sapno ko hum ko hum zindagi de paate