Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.
Dosti ki ek andekhi surat ho aap, Kisi ki Jindagi ki jarurat ho aap, Khubsurat to ful bhi bahut hai, lekin kisi ke liye, ful se bhi khubsurat ho aap...
Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid haiab uski yaadon se nikla nahi jatakoi hai jo dil ki dewaaro mein qaid hai
Umar Jalwon Mein Basar Ho, yeh zaroori To Nahi, har Shab-e-gam Ki sahar Ho, yeh zaroori To Nahi, Neend To dard ke bistar pe Bhi Aa sakti Hai, teri Aagosh Mein Sir Ho, yeh zaroori To Nahi
Tu Mila Hai To Yeh Ahesaas Hai Mujhko.. Ye Meri Umra Muhabbat Ke Liye Thodi Hai... Ek Zara Sa, Zindagi Ka Bhi Haq Hai Jis Par, Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai..."