Jane kyu log hume bhul jate hai. Kuch pal saath rehene ke baad dur chale jate hai. Sach hi kehte hai log ki sagar ke milne ke baad log barish ko bhul jate hai.
Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Sabko dost banane ki adat hai ham me, apani alag pehchan banane ki adat hai ham me, kitna bhi gehra jakaham de koi, utna hi jayada muskarane ki adat hai humme.
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
main pyar ki ek aisi falak chhod jaunga jo sab ko dikhai de wo jhalak chhod jaunga, gulshan jalane walon mitao mera wazud har khak ke zarre pe apni mehak chhod jaunga