Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
Sabab judai ka kuch to batoo muje, Phir chahe Dil-O-Jaan se sataoo muje, Chalo yeh mana k tumhain fursat hi nahi, Magar ye Jarorri to nahi k bhool jao muje
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.