Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…
Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha Apne ko aaj maine beganaa hote dekha Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.