Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho
Gile kagaz hi tarah hai zindagi apni, koi jalata bhi nahi aur bahat bhi nahi, is kadar akele hai raahon mein dil ki, koi satata bhi nahi aur manata bhi nahi
KHUDA KI IBAADAT ME JAB BHI YE HAATH UTHAYE, YEHI DUA MAANGI-HAR KHUSHI TUMHE MIL JAAYE........, MERI ZINDAGI SE TUM JEEYO, TUMHARI MAUT SE HUM MAR JAAYE.
badal ki tarah jhum k lehra k piyenge saaki tere maikhaane me hum ga k piyenge dekhenge k aata hai kidhar se ghum e duniya saaki tujhe hum saamne bithla k piyenge
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai Kartey hain basar raat main meri tanhai
Kitabon mai rakh k sula gaya ham ko Ankh band ki aur bhula gaya ham ko Koi ajeeb musavar tha jo barishon k mosam main Kachi deewaron pe bana gaya ham ko.
Shaam chirago se saja rakkhi hain.. Shart logo se laga rakkhi hain, shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa, yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain.......