Todna tute hooye dil ka boora hota hai, Jiska koi nahi uska khuda hota, Log naahak hi kisi aadmi ko bura kahte hai, Bura aadmi nahi, bura waqt hota hai!
La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Yun Toh Sadmo Me Bhi Has Lete The Hum, Aaj Kyun Bewajah Rone Lage Hai Hum, Barso Se Hatheliya Khali Hi Rahi Meri, Phir Aaj Kyu Laga Ki Sab Khone Lage Hai Hum..
kisi ko itna chahat de na paaye aasma ko zamee par la na paayeye dil hi to tha jo kisi par aaya hi nahi carvan tha mere saath aur hum hi kadam mila na paaye