Tanhai main akelapan saha jaayega, Par mehfil main akela raha na jaayega, Unka saath nahi fir bhi jiya jaayega, Par un k saath koi aur ho ye saha na jaayega.
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Vada hamne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil pane ke liye, unhone mohabbat sikha di or kaha, hamne to mohabbat ki thi tumhe aazmane ke liye.
Wada kiya hai to nibhayenge hum, chand bankar teri chhat par aayenge hum, hai to Teri judai ka gum aisa, fir bhi har rat ko sitarose sajayenge hum......