AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche, Ek Mein Nahin Tha Tere Zanaze Ke Peeche, Mein Hota Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche, Jo Mera Zanazaa Ja raha tha Tere Zanaze Ke Peeche
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Aap har manjil ko muskil samajhte hai, hum har muskil ko manjil samajhte hai, Bada farak hai aapke aur hamare nazariye me, aap dil ko dard aur hum dard ko dil samajhte hai.