Hum gilla nahin

Hum gilla nahin
Hum gilla nahin karte.... jo na ho kismat mein vo mila nahin karte zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte
  

Jan, 25 2012     157 chars (1 sms)     908 views       Shayari > Sad Shayari

more Sad Shayari SMS Messages

Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,Jisko chaha usae hum pa na sake, Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,Kisi ka toda aur apna bacha na sake.
Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
Has Ke Milate The Kabhi..Ab Mil Ke Hasate He..Vo Bhi Kya Maherbaani Thi..Ye Bhi Kya Maherbaani He.
Mera Is Se Door Jane Ka Irada Na ThaIs Ke Sath Mera Sada Sath Rehne Ka Bhi Wada Na Tha Wo Muje Ab Yaad Na Karegi Kbhi Janta Tha Main Per Wo Muje Itni Jaldi Bhool Jayegi Is Bat Ka Andaza Na Tha
Waqt kehta hai fir na aaunga.teri aankho ko ab na rulaunga.jeena hai to is pal ko jee le.shayd main kal tak na ruk paunga
Ishq ke rishte kitne ajib hote hai.. Durr rehke bhi kitne karib hote hai, Meri barbadi ka gum na karo yaro, Ye to apne apne nasib hote hai...
Lagta hai jaise mitai thi hasti, Sab jaise ab hara hua sa lagta hai .. Jaane kitne wade liye-diye, Chhootne pe sab bojhil sa dikhta hai…
Safar Mein Dhoop Hogi Chal Sako To Chalo Sabhi Hain Safar Mein Tum Bhi Chal Sako To Chalo Yahan Koyi Kisi Ko Rasta Nahin Deta Mujhe Gira Ke Tum Sambhal Sako To Chalo
Hum Vo Ishq Hai Jo Dil Bankar Dhadakte Hai Hum Vo Khushboo Hai Jo Bahon Me Mehekte Hai Humse Pyaar Na Karna Aye Zalim Hum Vo Dard Hai Jo Aankhon Se Chalakte Hai.
Hosh Me Aaye Zamana Hua, Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain, Arsha Beeta Iss Duniya Mein, Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain, Dar Lagta Hai Lambi Umar Se, Itna Duniya Ne Sataya Hai, Log Mout Se Dara Karte Hain, Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…
Kagaz pe hamne jindagi likh di, Ashko se sinch kar har khushi likh di, Dard ko jab hamne ubhara labzo pe, To logo ne kaha wah kya gazal likh di...