Agar Bas Mei Hota To Bhul Kar Bhi Tujhe Yaad Na Karta Har Lambha Yon Tere Intezar Mei Til Til Na Marta Alvida Tak Na Keh Kar Gaya Tu Jate Jate Jo Teri Hakeekat Janta To Khuda Ki Kasam Yeh Gunah Na Karta
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Badi asaani se dil lagaaye jaate hain, Par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,Le jaati hai mohabbat un raho par jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain.
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko...Chedega mehfil me zikar hamara koi,To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.