Mujhe aajmane ka natija kya nikla, dil ka jakhm najro se bhi ghara nikla, Tod kar dekh hi liya tune dil mera, Bata teri tasver ke siva is dil me kya nikla.
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…