Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Chandni raato me saara jaha sota hai.Kisiki yaado me koi badnasib rota hai.KHUDA kisi ko mohabbat pe fida na kare,agar kare toh qayamat tak juda na kare.
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the Hum the ki pagalon ki tarah hanste the Yeh hale dil hum kaise sunaye ki Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Aarzu yeh nahi k gum ka tufan tal jye,Fikr to yeh hai k tumhara dil na badal jye,Kabhi bi mujh ko agr bhulna chaho tum,To drd itna dena k mera dm nikl jye.
Chal padi hai kashtiyaan samandar dur hai kinara Inn maajoon se puch lena kya haal hai hamara Ab hawaein karengi roshiniyon ka faisla Jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega