"Sath dene ka vada kiya tha,shikwa sehne ka vada kiya tha,agar wo hame bhulakar khush hain to koi gam nai,kyuke hamne to unko khush rkhne ka vada kiya tha.
uski yad me ham barso rote rahe,bewafa vo nikle badnam ham hote rahe,pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye dhul chehare pe thi ham aaina saaf karte rahe
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.