nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
Wo tere pyar ka gam ek bahaana tha sanam Apni taqdeer hi aisi thi ki dil toot gayaYe gam na hota toh koi aur gam hota Mai woh bdnaseeb hu jo har haal mein rota
Jab zindgi samajh aai to zindgi se door the hum marna chaha par jeene ko majbur the hum har saza kbul ki humne sar jhuka kar kasur itna tha k beksur the hum
Palkon se bah kar jab assoo aaten hai , Aap kya jane aap hume kitne yaad aaten hai , Aaj bhi us mod par khade hai ,Jab apne kaha tha hum abhi aaten hai
unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi