rok lo qadam jee bhar ke dekhlo hamara tumhara saath bas yahin tak tha manzil mile na mile ab hamari kismat ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
zindagi mein kyon apni tanhayi si hai apna koi nahin aur bheedh badi hai puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai
Subha Ki befikri Day ker,Shamon Ki her Ik Sohbat deyker Loag Tou Dou Kori Bhi na Dein Per Ham nay Bari Qemat deykar Dard Khareda thaa So ab Ussi Ko Dil say Lagaye Bethay hain
Roashni Dekar dub jaana koi suraj se sikhe, Dil dekar dard lena koi humse sikhE Kuch na kehkar dil lena koi unse sikhe, Aur Dosti karke bhool jana koi unse sikhe.