Yeh sach hai ki. Aa jata hai shohrat ka Asar.. insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai.. Aur bewafa badle ya naa badle.. Waqt aane par wafadar badal jate hai.
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Gamo se hath na milata to kya karta, aasuwo ko gale na lagata to kya karta, andero ne mangi b to roshni ki bhik mujse, fir apna dil na jalta to kya karta
Me Sochta hu ye pyar ka pagalpan chhod du,Dil ka rista 1 pal me tod du,muje to bas ye samaj me nahi aata ki, Mere is tute huye dil ko or me kitna todu.
Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.