Tuta hua shisha phir joda nahi jata,Aankh se Nikla hua aansu phir wapis nahi aata,Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata
Sabi puchte hai ki hum muskurate kyu nahi,Humare zakhmo ko koi janta hi nahi,Hum tanha hai kitne ye hum hi jante hai,Hume gam honge itne koi manta hi nahi.
Fursat kise he jakhmo pe marham lagane ki,nigahe badal gayi apne aur begaane ki,tum na chhodna dosti ka saath kabhi,warna.tamanna na rahegi naye.dost banane ki.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Hansi hoton se gayi hansa sakta hai kon, Need ankhon se gayi sula sakta hai kon. Jab ag lagjati hai gharon mai to log pani se bhuja lete hain, Lekin dil ki lagi aag bhujha sakta hai kon.