Bahut kam log hote hain zamane me aise,sachi chahat ki jinhe pehchan hoti hai,itna soch lena kisi pe mar mitne se pehle,ki gavane K liye ek hi jaan hoti hai.
Na jeene ki khushi na marne ka gAm,gAm hai toh unse na milne ka gAm,jeete hain iss aas pe kbhi woh hmare kehlayenge,mrte isliye nehi k woh akele reh jayenge.
khone gijar mera akhir kuch to rang layega, ye gujra hua jamana kabhi tujko bhi yaad aayega, tu bhi beth kar royegi deewano ki tarah, jab tere bhi armano ka sare aam katal ho jayega
Hasi ne labon pe thirakna chod diya hain, khwabon ne palkon pe aana chod diya hain, nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aapne bhi yaad karna chod diya hain..
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi