Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the Hum the ki pagalon ki tarah hanste the Yeh hale dil hum kaise sunaye ki Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Nazar, nazar se milane me dar lagta hai, Mere Mehboob ke inkaar se dar lagta hai, wo khele mere dil se kuch is tarah, ki ab to husan -e -aaftaab se bhi dar lagta hia..
Gamo se hath na milata to kya karta, aasuwo ko gale na lagata to kya karta, andero ne mangi b to roshni ki bhik mujse, fir apna dil na jalta to kya karta
"Sath dene ka vada kiya tha,shikwa sehne ka vada kiya tha,agar wo hame bhulakar khush hain to koi gam nai,kyuke hamne to unko khush rkhne ka vada kiya tha.