mat puch mujh se mere sabar kii wasatain kahan tak hai sata kar dekh le zalim teri takat jahan tak hai sitamgar tujh se umeed kiran hogi jinhain hogi hamain tu dekhna yah hai kay tu zalim kahan tak hai
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi