Khul k dilse milo to saza dete hain log,Sache jazbat b thukra dete hai log,dekh nahi sakta do insano ka milna,baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
zindagi kabhi aanso, to kabhi muskaan hai meri dhadkano mai uska hi namo nishaan hai ret par likhe the jo do naam humne uska mit jaana hi hamari mohobat ka inaam hai
Na puch mere sabar ki intha kaha tak hai, Tu sitam kar le teri taaqt jahan tak hai.wafa ki umid jine hogi unhe hogi,hume to dekna hai tu bewafa kahan tak hai
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya
kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Ek sapne ki trah tume saja ke rakhu,chandni raat ki najro se tumhe chhupake rakhu,meri takdir mere sath nahi vrna zindgi bhr ke liye tume apna bnake rakhu
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..