Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega