Saato aasman ki sair hum kar aaye, har ek taare se Dosti kar aaye, Ek TARA khas tha jise hum saath le aaye, Warma aap sochiye aap is zamane par kaise aaye
Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari
Koi dost aisa banaya jaye, jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye
Jo pal pal chale wo hai zindagi jo pal pal jalti rahe wo hai roshani jo har pal khilti rahe wo hai Mohabbat jo kisi bhi pal saath na chhode wo hai dosti
saalon baad na jaane kya sama hoga, hum me se na jaane kaun kaha hoga, phir milna hoga to milenge yaadon me, jaise sukhe gulab milte hai purane kitaabo me