Dosti Se Aaj Pyar Sharmaya Hai.Teri Chahat Ne Kuch Aisa Gazab Dhaaga Hai. Khuda Se Kya Tujhe Mange. Woh To Aaj Khud Mujhse Aap Jaisa Dost Mangne Aaya Hai..
Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari
Hamaare to daaman mein kaanto ke siva kuch nahin. Aap to phoolon ke kharid-daar nazar aate hain. Jahan mein kitne dost mile hume par sabse ache aap nazar aate hain..
Kyu dil ke mere tukde kar diye, kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye, gunah kya tha mera bus chahna tumhe, kyu meri zindagi me tune dard bhardiye
Khuda ki banai kudrat nahi dekhi, Dilon me chupi daulat nahi dekhi. Jo kehte hai ki duriyon se mit jati hai dosti, Unhone shayed hamari dosti nahi dekhi.
Ae khuda apne chaand par itna gurur na kar, ek chaand sa dost hum bhi rakhte hain. Jab tarif hoti hai tere chaand ki, log misaal mere dost ki dete hain.
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein