Tere dil ko sajayenge apne arman dekar, tere labon ko hasayenge apni muskan dekar ,dosti ki kasam tujhe kafan se utha le jayenge ,tere jism mein apni jaan
Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, beshak apni manzil tk jana h, par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki..
Teri pyari umid kaise tod jaun, thu khwab dekhe aur mein nazar na aaon..! kuch to baat hai dosti me hamari, kya apke kadam nahi kehte ki chalo mil aaun...
Gum bahut hai khushiya kam hai,kante bahut hai ful kam hai; manzil dur hai rah kathin hai, dushman bahot hai dost kam hai ,mere zindagi ka ye behal hai, fir bhi jee raha hu kyo ki sath tumhara hai
Main tamam koshisho ke bawjood har gaya Who use mil gya jisne use maanga hi nahi Har ek se poocha tera na milne ka subub Har ek ne kha who tere liye bna hi nahi.
Dard gairon ko sunane ki jarurat kaya hai, apne saat auron ko rulane ki jarurat kaya hai? waqt yunhi kam hai DOSTI ke liye, ruth kar waqt gawane ki jarurat kya hai??
Zindagi ki kasti kab lage konse kinare,kab isse milegi manchahi bahare.jina to padega hi kaise bhi pyare,kabhi doston ki bhid main,kabhi tanhai ke sahare......
Dosti itni karo ki usme koi nafrat na ho Bharosa itna karo kiusme koi shaq na ho. Intezar itna karo ki usme koi waqt na ho Pyar itna karo ki usme koi had na ho.
Chand ki chandni shayad madhyam pad jaye, phulon ki khushbu shayad phiki pad jaye. Par hamari dosti mehekti rahe, shayad zindagi ke lamhe kam pad jaye.