Chal Pade Hum By Kaushik Dutta

Chal pade hum, kya thikaana,socha nahi
Manzil pata hai, rasta kahaan, socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh,aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye

Chal pade hum, kya thikaana, socha nahi
Manzil pata hai, rasta kahaan, socha nahi
Raaste yeh saath chalte, tedhi medhi zindagi ke
Yaadein bhi hain puraani, aane waale pal khushi ke
Raaste yeh saath chalte, tedhi medhi zindagi ke
Yaadein bhi hain puraani, aane waale pal khushi ke
Sochta hai mann yeh mera, aasmaan mein udna chahe
Choona chahe chaand taare, sapne dekhe kitne saare
Chalte chalte rukna kahaan, socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye

Zindagi ke is safar mein rang dekho kitne saare
Khushiyaan chun lo jitni milti, phir na honge yeh nazaare
Zindagi ke is safar mein rang dekho kitne saare
Khushiyaan chun lo jitni milti, phir na honge yeh nazaare
Ashaaon ki dor pakde, mann mein itna zor karle
Muskura ke, khil-khila ke, aandhi toofaan se guzar le
Pankh mil gaey, udna kahaan,socha nahi
Behte behte thamna kahaan,socha nahi
Bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye
Aage hi aage bas chal diye
Chal pade hum, kya thikaana, socha nahi
Manzil pata hai, rasta kahaan, socha nahi


Song Details
Movie
Satrangee Parachute
Artist
Kaushik Dutta
Music Directory
Kaushik Dutta
Music Label
Saregama
Singers
Shaan
Lyricist
Rajeev Barnwal

more lyrics from Satrangee Parachute

Tere Hasne Se
Chal Pade Hum
Mere Bachche
Teri Lori
Udd Jaa Udd Jaa
Zindagi Ki Raah Mein