Mere Bachche By Kaushik Dutta

Mere bachche teri maa yeh roz kahaani sunaey
Chanda maama pariyon waali chain se tu sojaey
Mere bachche teri maa yeh roz kahaani sunaey
Chanda maama pariyon waali chain se tu sojaey

Sapne mein phir aey woh gilehri
Baghiya mein hai jo koodti rehti
Tum uske peeche bhaagte rehte
Aur main tum ko bas dekhti rehti
Phir bhi gilehri haath na aati
Dar ke kahin patton mein chup jaati
Bhaagam bhaagi mein tum thak jaate
Maan ke aanchal mein so jaate
Neendon mein tere phir woh gilehri aa kar gudgudaey
Mere bachche teri maa yeh roz kahaani sunaey
Chanda maama, pariyon waali, chain se tu sojaey

Ek sapna tujh ko aisa bhi aaey, baadalon mein urrta hi jaey
Raja ho mera beta wahaan par,rani bhi ho ek choti pari si
Titlee si hansti, choti woh bacchi
Tum usko dharti ki seyr karaate
Sapnon bhari duniya mein le jaati
Sapne mein tere choti pari woh aa kar muskuraaey
Chanda maama, pariyon waali, chain se tu sojaey
Chanda maama, pariyon waali, chain se tu sojaey

Song Details
Movie
Satrangee Parachute
Artist
Kaushik Dutta
Music Directory
Kaushik Dutta
Music Label
Saregama
Singers
Shreya Ghoshal
Lyricist
Rajeev Barnwal

more lyrics from Satrangee Parachute

Tere Hasne Se
Chal Pade Hum
Mere Bachche
Teri Lori
Udd Jaa Udd Jaa
Zindagi Ki Raah Mein