Nukta Cheen Hai Gham E Dil By Ghulam Mohammed

Aa aa aa

Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane
Usako sunaye na bane
Kyaa bane baat jahaan
Baat banaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Gair phirata hai liye yun
Tere khat ko ke agar
Koi puchhe ke ye kyaa hai to
Chhupaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Mai bulata to hun usako
Magar ai jazba-e-dil
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ki lagaaye na lage aur
Bujhaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane...

Song Details
Movie
Mirza Ghalib
Artist
Ghulam Mohammed
Music Directory
Ghulam Mohammed
Music Label
Saregama
Singers
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist
Mirza Ghalib

more lyrics from Mirza Ghalib

Aah Ko Chahiye Ek Umar
Chali Pee Ke Nagar
Dil E Nadan
Hai Bas Ke Har Ek Unke
Nukta Cheen Hai Gham E Dil
Phir Mujhe Deeda E Tar
Rahiye Ab Aisi Jagah
Wahshat Hi Sahi
Yeh Na Thi Hamari Kismat