Suno Suno Re Kahaani By Datta Naik

Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani suno suno re kahani
Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani suno suno re kahani

Ek din bhari sabha jungle me
Ji ji ji ji ji ji ji
Hath aaya ghoda aaya
Hirna aaya uut bhi aaya
Bandar aaya bhalu aaya
Billi aaya kuta aaya
Chupke se siyar bhi aaya
Jo bhi tha dumdar bhi aaya
Aaye tarah tarah ke parani
Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani suno suno re kahani

Sabne socha hum sab jaye
Raja ji kare pararthana
Ek din aisa ho jungle me
Na hinsa hoye mana
Na koi mare koi kisi ko
Na koi khaye mas kisi ka
Na koi piye khun kisi ka
Na koi roke sans kisi ka
Ek ghat sab pani piye
Ek rah sab jaye
Isko kahte hai jungle me
Mangle milke manaye
Lekin kahne jaye kaun
Sochke ho gaye maun sabhi re
Sochke ho gaye maun
Jo jayega usko deni hogi kurbani
Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani suno suno re kahani

Billi boli
Sher ki masi dunia me kahlau
Kyu na sandesha tum logo ka
Mai hi lekar jau
Dhanya hai mosi dhanya hai mosi
Dhanya mosi dhanya mosi
Dekho bhai jati to hu jane ko
Lekin raja hai bekar
Baba bate hai bekar
Jao mosi kaho sher se
Aaj bada tyohar hai ban me
Aaj bada tyohar
Baba bate hai bekar
Jisko chaho aakar
Khalo har koi tayyar
Baba bate hai bekar
Ye sab bate hai bekar
Koi nahi tyyar koi nahi tyyar
Koi nahi tyyar
Are bat ko samjho yar
Is lalach me aa jayega
Wo raja khunkar
Bate hai bekar
Aa jane do raja jo fir
Chal nayi batlayenge
Jaise chahenge hum
Parja waise nachwayenge
Jao mausi jao jao
Mausi der karo na
Karlo jo hai thani
Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani suno suno re kahani

Mai mausi teri beta
Mai hu mausi teri
Mai mausi teri beta
Mai hu mausi teri
Sunle vinti meri
Mai mausi teri beta
Mai hu mausi teri
Ban ke tyohar aaj to
Ban me hai tyohar
Raja ban me hai tyohar
Jaise dudh bina hai
Khali ram darbar
Raja ban me hai tyohar
Aaj to ban me hai tyohar
Chal ho barkhudar
Teri dawat dene ko
Sab baithe hai tyyar
Teri marzi me jo
Aaye use maje se khaye
Khub bahur khub
Chal tu aage aage
Mai chalti hu piche
Tu aage mai piche
Tu aage mai piche

Are murkh aage kaise jaunga
Mai tune rah mujhe hai batlani
Sach kahta hai re beta
Piche kaise jaungi ma i
Maine rah tujhe hai batlani
Suno re kahani ek bahut purani
Jise kahti thi nani ho
Ek bahut purani
Suno suno re kahani

Khau khau kidhar hai sab
Khau khau khau khau
O mama siyar
O mama siyar
Darte kyu ho yar drte kyu ho yar
Ek mantar deta hu tumko
Yad rakho har bar
Ye sab bate hai bekar
Baba bate hai bekar
Kya hai mantar mama siyar
Are maut se jo dar gaye to
Wo safar kar jayengi
Milke aage badh gaye
To maut bhi dar jayegi
Milke aage badh gaye
To maut bhi dar jayegi
Khau khau khau isko khau
Usko khau kisko khauu
Khau khau khau isko khau
Usko khau kisko khauu

Mujhse darta nahi
Raja kisi ke mare koi marta nahi
Sher hai raja yaha ka jante nahi
Tum sakti ko pahchnte nahi
Kaisi sakti
Kya hai parja ki sakti
Parja ki sakti hai ekta
Kya hai ekta jo najar
Ke samne hai dekhta
Chhte ho tum bhala
Kya mujhse bata
Aaj yaha kurbani na ho
Dard ki koi kahani ho
Aaj yaha kurbani na ho
Sabhi sath nache sabhi sath gaye
Sabhi sath nache sabhi sath gaye
Ahinsa ka milke tyohar manaye hai
Nachega kon bajega kon
Baje yaha par bajayega kon
O more raja o more raja
Ye bandar bajayega baja
Or nachega bhalu aaj aaja
Aaj re aaja o more raja
Bhalu re bhalu nacha dikha
Raja ko apna nach dikha
Bhalu re bhalu nacha dikha
Raja ko apna nach dikha
Raja ko apna nach dikha
Raja ko apna nach dikha
Bhalu re bhalu nacha dikha

Raja bhi anche parja bhi nache
Raja bhi anche parja bhi nache
Jungle me mugle ki bansi baje
Jungle me mugle ki bansi baje
Bhalu re bhalu nacha dikha...

Song Details
Movie
Hum Panchhi Ek Dal Ke
Artist
Datta Naik
Music Directory
Datta Naik
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Usha Mangeshkar
Lyricist
Pyarelal Santoshi

more lyrics from Hum Panchhi Ek Dal Ke

Ek Se Bhale Do Se Bhale Chaar
Jis Ghar Ke Logo
Lo Chip Gaya Chand
Pooja Ke Do Phool Chadhakar
Suno Suno Re Kahaani