Chahe raat barsat ho andhi ho ya tufan
Tera wart na tal sake na tale sati ki aan
Rah se dharam ki hatane wala kon
Rah se dharam ki hatane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Naam bhagwan ka mitane wala kon
Naam bhagwan ka mitane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Raah mein gulal ude chahe ude dhul ho
Raah mein gulal ude chahe ude dhul ho
Paon mein chubhe re phul chahe sul ho
Dar ke dagar se darane wala kon
Dar ke dagar se darane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Rah se dharam ki hatane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Devi se pujaran ki ho chahe jitni duri
Sachi ho lagan to rahe pooja na adhuri
Aarti ka deep bujhane wala kon
Aarti ka deep bujhane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Rah se dharam ki hatane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Sita ka ye sach hai sawatiri ki shakti
Gori ka ye bal hai gayitri ki bhakrti
Sadhna sati ki aaj jaye nahi khali
Sadhna sati ki aaj jaye nahi khali
Aaradhna kisi ki aaj jaye nahi tali
Bhawna ke phulo ko thukrane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon
Satiyo ko sat se digane wala kon...
Song Details
- Movie
- Janam Janam Ke Phere
- Artist
- S. N. Tripathi
- Music Directory
- S. N. Tripathi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar
- Lyricist
- Bharat Vyas