Sab Mein Shamil Ho Magar By Ravi Shankar Sharma (Ravi)

Sab me shamil ho magar sabse juda lagati ho
Sab me shamil ho magar sabse juda lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
Aankh uthati hai naa jhukati hai kisi ki khatir
Sans chadhati hai naa rukati hai kisi ki khatir
Jo kisi dar pe naa thehare woh hawa lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Julf leharaye toh aanchal me chhupa leti ho
Julf leharaye toh aanchal me chhupa leti ho
Honth tharraye toh danto me daba leti ho
Jo kabhi khul ke naa barse woh ghata lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar

Jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
Jagi jagi najar aati ho naa soyi soyi
Tum jo ho apne khayalat me khoyi khoyi
Kisi mayus musavvir ki duwa lagati ho
Sirf hamse nahi khud se bhi khafa lagati ho
Sab me shamil ho magar...

Song Details
Movie
Bahu Beti
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Bahu Beti

Aaj Hai Karwa Chauth
Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro
Jiyo To Aise Jiyo
Meri Jaan Na Sata Tu
Meri Mang Ke Rang Me
Rangin Fiza Hai
Sab Mein Shamil Ho Magar